Namaskar dosto, aaj mai unboxing karne wala hu MIVI ke newly launched Bluetooth earphones MIVI Collar 2B ka, jo dosto ek neckband earphone hai aur isse aap mivi collar ka naya version bhi keh sakte hai.

Toh dosto agar aap minimum budget ke andar ek naya bluetooth earphones kharidne ki soch rahe hai toh iss post ko last tak jarrur dekhiye kyunki iss post mai, mai apko batane wala hu iske best features ke baare mai aur kya yeh apko kharidna chaiye ya nahi.

Aur agar apko detailed video dekhna hai, toh aap yaha click karke dekh sakte hai.


Also Read Best Neckband Earphones Under 1500 in 2021



MIVI Collar 2B - Made in India Bluetooth Neckband Earphones - Unboxing & Review in Hindi (English)



Key Specifications

Driver Size10 mm Driver
Bluetooth Range10 meters
Total Playback Time10 hours
Weight29 grams
Warranty
1 year

Box of this Earphone : 

Toh dosto sabse pehle baat kar lete hai iss earphone ke box ke baare mai, jiske samne ki taraf apko dekhne ko milta hai Collar 2 ka photo and iske niche likha hua hai Collar 2 Bluetooth Earphones aur iske kuch key features jesse ki deep and powerful bass, Bluetooth v5.0 and 10 hours play time.




Left & Right Side of the Box : 

And dosto iss box left side mai dekhne ko milta hai mivi ki tagline push the limits sath mai iske right side mai dekhne ko mil jaata hai engineered and Made in India, jo dosto mere hisab se bahot achi baat hai.

 

Back side of the Box : 

Aur box ke piche ki taraf bhi iss earphone ke kuch key specifications mentioned hai jesse ki HD stereo sound, super solid bass with powerful drivers, light and comfortable fitting, MEMS mic for crystal clear calls, splash and dust proof, 10 hours play time, magnetic locking and proudly Made in India aur iske sath sath apko dekne ko milta hai one year manufacturer warranty.

Also Read Best TWS Earbuds Under Rs.2000 in 2021 


Lets Open the Box : 

Toh chaliye dosto ab box ko open kar lete hai, Box ko open karte hi hume dekhne ko milta hai iska 1 year warranty registration card, jisme aapko bataya gaya hai ki kese iski warranty ke liye register karna hoga, iske baad hume milta hai hamara main earphone, jo dosto apko kafi ache packaging dekkne ko mil jaata hai, isse abhi rakhte hai side mai aur dekhte hai box mai aur kya milta hai.



Small Box Contents : 

Aur dosto iske niche aur ek chota box milta hai, Jiske andar hume milta hai ek welcome note, jisme apko MIVI ke co-founders ka signature bhi dekhne ko milta hai, aur iske sath sath apko milta hai iska user manual, jisme apko poori infomation mil jayegi isse use karne ke liye, aur dosto iss box ke andar apko aur bhi kafi achi additional information di gayi.



Finally dosto ye raha dosto hamara main earphone, jo dosto dikhne mai kafi stylish aur sath mai kafi lightweight bhi hai, and iska design kafi simple hai jo dosto mujhe bahot hi pasand aya hai, isse rakhte hai side mai aur dekhte hai iska charging cable kidhar hai.




Small Box Contents 2 : 

Toh dosto yaha par hume iss packet ke dono side mai chote box dekhne milte hai, jisme se ek box ke andar milta hai iska charging cable jo dosto USB to micro USB cable hai and dusre box mai apko milta hai kuch extra earphone caps, so dosto iss box mai hume itna hi box contents milta hai.

Also Read Snapdragon 865 Phones Under Rs.40000 in India


Main Earphone :

Toh chaliye ab dekh lete hai hamare main earphone ko, so dosto sabse pehle ye earphone  kafi lightweight hai , jisse isse use karne mai apko pareshani nahi hogi,  sath mai baat kare iski built quality ki toh isme rubber ke sath sath plastic ka use kiya gaya hai, aur dosto yeh earphone poori tarah flexible bhi hai.

Usage, Design & Looks : 

Jab dosto maine iss earphone ko istemal kiya tha tab mujhe feel hi nahi hua tha ki ye earphone mere neck mai hai, and sath mai flexible hone ke karan yeh earphone aur bhi comfortable ban jaata hai, aur dono earphones kafi achi apko kano mai fit bhi ho jayenge, and isse mujhe koi irritation bhi nahi hua hai, and dosto iss earphone mai apko magnetic locking ka feature diya gaya hai, iske baad iske looks ki baat kare toh iske right side mai and dono earphones mai apko MIVI ki branding dekne ko mil jaati hai.

Buttons & Ports :

Ab baat kare iske buttons and ports ke baare mai toh iss earphone ke left side mai apko iske butttons milte hai jisme milta hai power button, jo ek multi-functional button hai, jisse aap calls receive kar sakte hai, songs play\pause kar sakte hai sath mai isme press and hold karke aap voice assistant on kar sakte hai, and iske sath milta hai sound up\down buttons, jisse songs bhi change kar sakte hai aur isme apko ek chota sa ked light bhi dekhne ko mil jaata hai and dosto iske niche ki taraf apko milta hai iska charging port.

 

Features :

Ab baat kar lete hai iske features ke baare mai toh sabse pehle aapko milta hai powerful drivers jisse apko kafi powerful bass dekhne ko mil jayega, jo dosto sach mai bahot hi powerful hai, jo mujhe bahot hi pasand aya.

Battery :

Iske baad aate hai iski battery ki taraf toh isme apko kafi powerful battery milti hai, jisse aap 10 ghante tak isme music enjoy kar sakte hai medium volume par, aur yeh ek bahot acha feature hai jo kafi had tak sahi hai mere personal experience ke hisab se, sath mai dosto isme fast charging ka support bhi milta hai, jo iss price range ke bahot kam hi bluetooth earphones mai dekhne ko milta hai, jisse ye charge hone mai 10 minutes ka samay leta hai.

Bluetooth & Microphone : 

Aur dosto isme apko MEMS ka built-in microphone bhi diya gaya hai, jisse apki awaz kafi clear sunai degi, and ye earphone splash and  dust proof bhi hai jisse aapko isse use karne mai aur bhi asani hogi. Iske sath isme apko milta hai Bluetooth v5.0 and iski wireless range bhi bahot achi hai.

Sath mai dosto iska in ear fit kafi light and comfortable hai iske sath sath dosto aap isme aapko voice assistant ka bhi option milta hai, jisse aap power button par press and hold karne se activate ho jayega. Aur dosto yeh earphone poori tarah se Made in India product hai.

Verdict :

Overall ye bluetooth earphone build quality, sound quality and battery life ke maamle mai ek bahut acha option hai, specially iski build quality and battery life bahot hi achi hai.

So agar aap low budget ke andar compact design and ache features ke sath ek bluetooth neckband earphone kharidna chahte hai toh aap isse dekh sakte hai.


Other options you can check out :

  1. boAt Rockerz 255 
  2. Noise Tune Active Plus 
  3. Boult Audio Probass Curve
  4. boAt 100 Wireless                                       
  5. Infinity (JBL) Glide 120 

Watch the Detailed Video Here